जय जय प्रभु येशु की
Jai Jai Prabhu Yeshu Kee
Original lyrics
जय जय प्रभु येशु की
जय जय प्रभु येशु की
हमको बचाने आया जगत में
उसकी स्तुति करो
हा, हा, हा, हा, हा, हालेलूयाह
हो, हो, हो, हो, हो, होसन्ना
ला, ला, ला, ला, ला, ला
हालेलूयाह आमेन
खून की धारा बहती सूली से
जिसमें धुले सब पाप
धो लो तुम भी अपने हृदय को
उसमें रहे ना दाग
ग्रहण करो तुम आज येशु को
खून की बहती धार
उसको बना लो खेवनहार
नैया लगा लो पार
वापस आता मेरा प्रभुजी
ले जाएगा साथ
आशा मेरी अब तो यही है
चलो तुम मेरे साथ
हर दम होंगे साथ येशु के
खुशी और शांति आराम
आएगा वो लेने तुमको
रहना तुम तैयार
Romanised English lyrics
Jai Jai Prabhu Yeshu Kee
Jai Jai Prabhu Yeshu Kee
Hamko Bachaane Aayaa Jagat Mein
Uskee Stuti Karo
Haa, Haa, Haa, Haa, Haa, Haalelooyaah
Ho, Ho, Ho, Ho, Ho, Hosannaa
Laa, Laa, Laa, Laa, Laa, Laa
Haalelooyaah Aamen
Khoon Kee Dhaaraa Behtee Soolee Se
Jismein Dhule Sab Paap
Dho Lo Tum Bhee Apne Hriday Ko
Usmein Rahe Naa Daag
Grahan Karo Tum Aaj Yeshu Ko
Khoon Kee Behtee Dhaar
Usko Banaa Lo Khevanhaar
Naiyaa Lagaa Lo Paar
Vaapas Aataa Meraa Prabhujee
Le Jaayegaa Saath
Aashaa Meree Ab To Yahee Hai
Chalo Tum Mere Saath
Har Dam Honge Saath Yeshu Ke
Khushee Aur Shaanti Aaraam
Aayegaa Vo Lene Tumko
Rehnaa Tum Taiyaar