हा हा कितना आनंद
Haa Haa Kitnaa Aanand
Original lyrics
हा, हा, कितना आनंद
हा, हा, कितना आनंद
हमें प्रभु येशु से मिला
अब सबको यहाँ ये करें हम बयाँ
कैसे ये फूल मन का खिला, हा, हा
स्वीकार हमको किया और प्यार हमको दिया
पापों की दरियाओं से तूने पार हमको किया
हम तो भूले भटके थे, हमें सीधे रास्ते पे लाया
सुख चैन चाहा था जो, प्रभु चरणों में हमने पाया
सुनके तेरे वचनों को जीवन सफल हो गया
जीना रहा इक तरफ, मरना सरल हो गया
Romanised English lyrics
Haa, Haa, Kitnaa Aanand
Haa, Haa, Kitnaa Aanand
Hamein Prabhu Yeshu Se Milaa
Ab Sabko Yahaan Ye Karein Ham Bayaan
Kaise Ye Phool Man Kaa Khilaa, Haa, Haa
Sweekaar Hamko Kiyaa Aur Pyaar Hamko Diyaa
Paapon Kee Dariyaaon Se Tune Paar Hamko Kiyaa
Ham To Bhoole Bhatke The, Hamein Seedhe Raaste Pe Laayaa
Sukh Chain Chaahaa Thaa Jo, Prabhu Charnon Mein Hamne Paayaa
Sunke Tere Vachnon Ko Jeevan Safal Ho Gayaa
Jeenaa Rahaa Ik Taraf, Marnaa Saral Ho Gayaa